Tuesday, September 26, 2006

na karo

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

pagal aankhon wali larki

pagal aankhon wali larki!
itnay mehangay khawab na dekho -
thak jao gi !!
kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to
pachta-o gi !!
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rakh main ghol jaye ga
kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham
khul jaye ga!
tum kiya jano ?
khawab , safar ki dhoop kay teeshay
khawab , adhoori raat ka dozakh
khawab , khayalo.n ka pachtawa
khawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?
mehangay khawab khareedna ho.n to
aankahein baichna parti hain ---ya
rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phanko
piyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho !!
thak jao gi !!
pagal aankhonn wali larki
itnay mahangay khwab na daikho

Shab guzar na jaaye

Shab guzar na jaaye, hai intezaar-e-yaar ka
bas shauq hai hameiN to deedar-e-yaar ka
manzar judaaiyon ka dekha gaya na mujh se
chhut-ta nahiN hai daaman ab khyaal-e-yaar ka
gosha-e-tanhaai meiN tareeki har samat
deedaar hoga kaise tasveer-e-yaar ka
dar hai kaheeN chheen le akhtyaar-e-tassavur
tassavur hi hai sahaara dil-e-daagdaar ka
toofaan se to ladne meiN lutf hi aur hai
le kar sahaara beh chale visaal-e-yaar ka
dekha hai ek baargi jalva-e-husn-yaar
bhhoolega na nazaara kuchaa-e-yaar ka
gairoN ki baat ka aitbaar kya kareN
ab to bharosa na raha vafa-e-yaar ka
is ladkhadaati zindagani ke safar meiN
mil jaaye kisi mod par jalva-e-yaar ka
zindagi ki shaam par mil jaaye ek baar
rooh karegi shukria ahsaan-e-yaar ka

Mere man ki baat

Shayad unako samajh na aayee, kya thi mere maan ki baat,
Dekh kinara utar gaye wo, laharoon se lade hum sari raat.
Purane mausam phir laute hain, lekar unaki har-ek baat,
Saath rahe sab rishte-nate, bhataka mann bas saari raat.
Pile pad gaye unake kagaj, nayee rahi unaki har baat,
Unaki raaten ho gayee chhoti, lambi rah gayee meri raat.
Sunate aaye sabhi ke kisse, kisase kahen hum apani baat,
Patharoon se bhi phoote jharane, meri suni jab sari raat.