Wednesday, April 26, 2006

Na Karna Aya

Usko Chaha Bhi to Izhaar Na Karna Aya
Kat Gayee Umer Hamian Pyar Na Karna Aya
Uss Nay Mangi Bhi To Hum Say Judaae Mangi
Hum bhi Aisay Thay Kay Inkar Na Karna Aya
Sar Jhukaaoge To Patthar Dewta Ho Jaayega
Itna Math Chaaho Use' Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Hamen Apnaa Hunar Maaloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Lekar Pee Raha Hoon Doston
Zehar Bhi Isme Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Ruth Jaana To Mohabbat Ki Alamat Hai Magar
Kya Khabar Thee Mujhse Wo Itna Khafa Ho Jaayega

Dekha Hay

rafta rafta ghum may dhultay dekha hay
hum nay zakam-e-dil ko jaltay dekha hay
jis rahi kay rastay thay hamaray dil talak
us rahi ko rasta badaltay dekha hay
kehta tha kay tum bin neend nahi ati
us bay dard ko hum nay neend may chaltay dekha hay

Teri marzi kay mutaabik

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !
Ghar sajanay ka tassavur to bahut baad ka hai,
Pehlay yeh tay ho ki is gahr ko bachain kaisay !
Kah-kahan aankh ki bartav badal deta hai,
Hasnay vaalay tujhay aansoon nazar aaain kaisay !
Koi apni hi nazar say to hamay dekhayga,
Ek qatray ko samundar nazar aaain kaisay !
Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !
Ab ke bichade to shayad kabhi khabaon mein milein
Jis tarah sookhe hue phool kitabon mein milein

maut par bhi yakeen hai,
tum par bhi aitbaar hai,
dekheN kon aataa hai pehle,
donoN kaa intezaar hai.

parakhna mat, parakhney mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aainey mein der tak chehra nahin rehta
baRe logon se milne mein hamesha faasla rakhna
jahaan dariya samandar se mila dariya nahin rehta
tumhaare shehr ka mausam naye andaaz wala hai
hamaare shehr mein bhi ab koi hum sa nahin rehta

Phir Bhi Koi Kami Si Hai

Yun To Guzar Raha Hai, Har Ik Pal Khushi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath

Rishta Vafayen Dosti, Sab Kuch To Pass Hai,
Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyun Udas Hai,
Har Lamha Hai Haseen, Nayi Dilkashi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath

Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
Aankhon Mein Khawab Bhi Hai, Labon Par Hansi Bhi Hai,
Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyun Zindagi Ke Saath

Socha Tha Jaisa Vaisa Hi Jeevan To Hai Magar,
Ab Aur Kis Talaash Mein Baichain Hai Nazar,
Kudrat To Mehrban Hai, Darayadili Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyun Zindagi Ke Saath