Tuesday, September 26, 2006

na karo

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

pagal aankhon wali larki

pagal aankhon wali larki!
itnay mehangay khawab na dekho -
thak jao gi !!
kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to
pachta-o gi !!
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rakh main ghol jaye ga
kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham
khul jaye ga!
tum kiya jano ?
khawab , safar ki dhoop kay teeshay
khawab , adhoori raat ka dozakh
khawab , khayalo.n ka pachtawa
khawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?
mehangay khawab khareedna ho.n to
aankahein baichna parti hain ---ya
rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phanko
piyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho !!
thak jao gi !!
pagal aankhonn wali larki
itnay mahangay khwab na daikho

Shab guzar na jaaye

Shab guzar na jaaye, hai intezaar-e-yaar ka
bas shauq hai hameiN to deedar-e-yaar ka
manzar judaaiyon ka dekha gaya na mujh se
chhut-ta nahiN hai daaman ab khyaal-e-yaar ka
gosha-e-tanhaai meiN tareeki har samat
deedaar hoga kaise tasveer-e-yaar ka
dar hai kaheeN chheen le akhtyaar-e-tassavur
tassavur hi hai sahaara dil-e-daagdaar ka
toofaan se to ladne meiN lutf hi aur hai
le kar sahaara beh chale visaal-e-yaar ka
dekha hai ek baargi jalva-e-husn-yaar
bhhoolega na nazaara kuchaa-e-yaar ka
gairoN ki baat ka aitbaar kya kareN
ab to bharosa na raha vafa-e-yaar ka
is ladkhadaati zindagani ke safar meiN
mil jaaye kisi mod par jalva-e-yaar ka
zindagi ki shaam par mil jaaye ek baar
rooh karegi shukria ahsaan-e-yaar ka

Mere man ki baat

Shayad unako samajh na aayee, kya thi mere maan ki baat,
Dekh kinara utar gaye wo, laharoon se lade hum sari raat.
Purane mausam phir laute hain, lekar unaki har-ek baat,
Saath rahe sab rishte-nate, bhataka mann bas saari raat.
Pile pad gaye unake kagaj, nayee rahi unaki har baat,
Unaki raaten ho gayee chhoti, lambi rah gayee meri raat.
Sunate aaye sabhi ke kisse, kisase kahen hum apani baat,
Patharoon se bhi phoote jharane, meri suni jab sari raat.

Wednesday, April 26, 2006

Na Karna Aya

Usko Chaha Bhi to Izhaar Na Karna Aya
Kat Gayee Umer Hamian Pyar Na Karna Aya
Uss Nay Mangi Bhi To Hum Say Judaae Mangi
Hum bhi Aisay Thay Kay Inkar Na Karna Aya
Sar Jhukaaoge To Patthar Dewta Ho Jaayega
Itna Math Chaaho Use' Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Hamen Apnaa Hunar Maaloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Lekar Pee Raha Hoon Doston
Zehar Bhi Isme Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Ruth Jaana To Mohabbat Ki Alamat Hai Magar
Kya Khabar Thee Mujhse Wo Itna Khafa Ho Jaayega

Dekha Hay

rafta rafta ghum may dhultay dekha hay
hum nay zakam-e-dil ko jaltay dekha hay
jis rahi kay rastay thay hamaray dil talak
us rahi ko rasta badaltay dekha hay
kehta tha kay tum bin neend nahi ati
us bay dard ko hum nay neend may chaltay dekha hay

Teri marzi kay mutaabik

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !
Ghar sajanay ka tassavur to bahut baad ka hai,
Pehlay yeh tay ho ki is gahr ko bachain kaisay !
Kah-kahan aankh ki bartav badal deta hai,
Hasnay vaalay tujhay aansoon nazar aaain kaisay !
Koi apni hi nazar say to hamay dekhayga,
Ek qatray ko samundar nazar aaain kaisay !
Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !
Ab ke bichade to shayad kabhi khabaon mein milein
Jis tarah sookhe hue phool kitabon mein milein

maut par bhi yakeen hai,
tum par bhi aitbaar hai,
dekheN kon aataa hai pehle,
donoN kaa intezaar hai.

parakhna mat, parakhney mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aainey mein der tak chehra nahin rehta
baRe logon se milne mein hamesha faasla rakhna
jahaan dariya samandar se mila dariya nahin rehta
tumhaare shehr ka mausam naye andaaz wala hai
hamaare shehr mein bhi ab koi hum sa nahin rehta

Phir Bhi Koi Kami Si Hai

Yun To Guzar Raha Hai, Har Ik Pal Khushi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath

Rishta Vafayen Dosti, Sab Kuch To Pass Hai,
Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyun Udas Hai,
Har Lamha Hai Haseen, Nayi Dilkashi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath

Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
Aankhon Mein Khawab Bhi Hai, Labon Par Hansi Bhi Hai,
Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyun Zindagi Ke Saath

Socha Tha Jaisa Vaisa Hi Jeevan To Hai Magar,
Ab Aur Kis Talaash Mein Baichain Hai Nazar,
Kudrat To Mehrban Hai, Darayadili Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyun Zindagi Ke Saath

Thursday, February 02, 2006

Pagal Aankhon Wali Ladki

pagal aankhon wali ladki!
itnay mehangay khawab na dekho
thak jao gi!!

kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to pachta-o gi!!

soch ka sara ujla kundan zabt ki rakh main ghol jaye gakachchay
pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham khul jaye ga!
tum kya jano ?

khawab, safar ki dhoop kay teeshay
khawab, adhoori raat ka dozakh
khawab, khayalo.n ka pachtawakhawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?

mehangay khawab khareedna ho.n toaankahein baichna parti hain
---ya rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phankopiyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho!!
thak jao gi !!

pagal aankhonn wali ladki
itnay mahangay khwab na daikho

Bahane

Yeh kaisi mohabbat... kahan ke fasane....
Yeh peene pilane ke ..hain sab bahane...

Doori

Jism ki baat nahin thi, unke dil tak jaana tha
Lambi doori tai karne main waqt to lagta hai

Thursday, December 01, 2005

Hum Se Poohiye

Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Ham Se Puchiye
Do Din Kii Zindagi Ka Maza Ham Se Puchiye

Bhule Hain Unhen Rafta Rafta Mudaton Mein Ham
Qishton Mein Khud-Kushii Kaa Maza Ham Se Puchiye

Aagaaz-E-Aashiqi Kaa Maza Aap Jaaniye
Anjaam-E-Aashiqi Ka Maza Ham Se Puchiye

Jal'te Diyon Mein Jal'te Gharon Jaise Zau Kaha
Sarakar Raushni Kaa Maza Ham Se Puchiye

Vo Jaan Hii Gaye Ke Hamein Un Se Pyaar Hai
Aankhon Kii Mukhbari Ka Maza Ham Se Puchiye

Hansane Kaa Shauq Ham Ko Bhi Tha Aap Kii Tarah
Hansiye Magar Hansii Ka Maza Ham Se Puchiye

Ham Tauba Kar Ke Mar Gaye Bemaut Ai 'Khumar'
Tauhiin-E-Maikashi Kaa Mazaa Ham Se Puchiye

Tuesday, November 29, 2005

Tera naam...

Ek naam kya likha tera saahil ke ret par,
phir umbrabhar hawa se meri dushmani rahi...

Daaman

Kitna kaha tha usse ki daaman samet le,
Ab woh bhi mere saath pareshaniyon mein hain

Rehmat...

Rehmat ko teri josh men lane ke vaste
Danishtan gunah kie ja raha hun main


Rehmat bhi hai muhtaaz teri, mere gunahoon ki,
mere bagair tu bhi khuda ho nahin sakata.

Ranjish hi sahi...

Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoRh ke jaane ke liye aa.......
Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa.......
Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....

Ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
ae raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
Maana ke muhabbat ka chhupana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa....
Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
waise hi kisi roz na jane ke liye aa....

Phir

Phir usi bewafaa pe marte hai
Phir vahi zindagi hamaari hai

Thursday, November 24, 2005

Pyaas vo dil kii...

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahin
kaisaa baadal hai jiskaa koi saayaa bhii nahin
beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhii nahin
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamne sunaayaa bhii nahin
Aashnaa Hootey Huey Bhi Aashnaa Koi Nahien
Jaantey Sab Hein Mujhe, Pehchantaa Koi Nahien
Khudkushi Bhi Jurm Hai Aur Mai Kashi Bhi Jurm
Koun Kis Mushkil Mein Hai Yeh Dekhtaa Koi Nahien

Na samaz sake to....

Yeh inayate ghazab ki, yeh bala ki meherbani,
Meri khairiyat bhi puche, kisi aur ki jubani...

Meri be-juban aankhonse, gire hain chand katare,
Woh samaz sake to aasun, na samaz sake to pani...

Monday, November 21, 2005

Tu khayal hai

Tu khayal hai kisi aur ka, tujhey sochta koi aur hai
Sarey aaeena mera aks hai, pasey aaena koi aur hai